2010 ISLAMIC CALENDAR

 

 

DOWNLOAD BOOKS

KASHAFUL

HAQAIQ

 

 

KASHAFUL

 AQAID

 

KASHAFUL

MUWADDA

 

KASHAFUL

MAURIF

 

 

 

 

 

 

 


LYRICS

 

NAWHA LYRICS

Mazloom hoon may

 

(Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee) x3

  1. (Meray zimmay nizaam hay qudrat ka) x2 Manzoom hoon may majboor naheee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  2. Kia tum yay samjhtay ho logo Paabund hoo'n mayn beemaari say

    Maynay to shifa islam ko di Apni beemaari ke sadqay

    Quraan may kehta hay khaaliq sakhti moqoof hay taaqat pay

    Khaaliq ki nazar may taaqat ka mafhoom hoon may majboor naheee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  3. Kia hum par dhaakebithaanay ko tu youn aaayat sunaata hay

    Hum logo ki hee shaan may to Khaaliq nay quraan utaara hay

    Baat'on may wazan barhaanay ko wo qasmayn humari khata hay

    Mery qasmayn khaayee"n khaaliq nay maqsoom hoon may majboor nahee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  4. Kia teray khayal mayn aiy ghaasib baazaaro'n may youn phirwa ke

    Ruswa karwayay ga hum ko Darbaar may esay bulwa ke

    Beshakenaakaam rahay ga tu Kehta hoon rab keqasam kha k

    Hum to tatheer kewaris hayn masoom hoon may majboor nahee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  5. Yay takht o taaj humoomat mayn Khayraat may baanta karta hoon

    Khaaliq ka khalifa tehra mayn chaahoo'n to tera sab kuch lay loo'n

    Iss takht pay bhi mera haq hay Jis takht pay tu naazaa'n hay you'n

    Daadi ki tarha apnay haq say mehroom hoon may majboor nahee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  6. Laazim hay un par haq mera jo kehtay hayn imam a.s mujhay

    Zara ghor karo iss ghasib par yay hirs o hawis ka taaba'y hay

    Insaa'n ki haidayat ki khaatir Phirta hoo'n itnay dard lyay

    Khaaliq kemehzar par khoo'n say marqoom hoon may majboor nahee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  7. Khaaliq ka naaib hoon har ikeko rozi mayn pohanchaata hoon

    Haqdaar'on ko mayn hee un kehaq ghaasib say dilwaata hoon

    Mayn hee yay hawaayayn chalaata hoon mayn hee baarish barsaata hoon

    Meray haath mayn waqt ki saansayn hayn, makhdoom hoon may majboor nahee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  8. Naana ka dee'n baydeeno'n ka qaidi mujh say dekha na gaya

    Khud maynay keea qaidi ban kar Waada iss ko churwaanay ka

    Waaris ko faatah e khaybar ke Zanjeeray rokesakayn geee kia

    Peeta hoon zehar masaaib ka masmoom hoon may majboor nahee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  9. Maym kul kaainaat pay hujjat hoon rehmaan khuda ki jaanib say

    Hujjat ki waja say hee logo chalta hayn nizaam yay aalam ke

    Mayraaj pay naana pbuh ka jaana aur waqt ka thamna kehta hay

    Kaainaat ki khaatir laazim aur .malzoom hoon may majboor nahee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  10. Mera waada bhi hay wirsa bhi Andekhay khuda ko manwaana

    Jo aqal may aa hee nahee skta Haan us khaaliq ko samjhaana

    Maqsad hay azzyyat sehnay ka tumhay seedha rasta dikhlana

    Ghayrat say jigar chalni hay mera..maghmoom hoon may majboor nahee

    Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

     

  11. "Asif" Sajjad a.s yay kehtay thay.. Sajday may jo dada a.s nay kaha

Har eikeqadam par kehta hoon mayn fuzto bay rabbil kaaba

Makhlooq ki islaah ki khaatir iss tarha zulm o sitam sehna

Mera wirsa bhi hay zimma bhi . Mazmoom hoon mayn majboor nahee

Darbaar may kehtay thay abid, Mazloom hoon may majboor nahee

 

AZADARI