NAWHA LYRICS
Qayd ho ke part 1
(Qaid ho ke jo karbobala say chala ab wohi qaafla shaam may aagaya) x3
Zulm sehta hai aur khoon rota hai wo Naaib e kibrya waris e mustafa
Qaid ho ke jo karbobala say chala ab wohi qaafla shaam may aagaya
Shaam ke raastay tung hain pehlay hee
Haayay dono taraf hai tamaashaayee bhi
Aur tamaashaay'on ki wo tana zani
Janay kesay nabi zaadyaa'aan hain khari
Kistarha hai khari
Sir pay chadar nahee haat bhi hain bandhai,
kesay parda karayn warisaan e haya
Qaid ho ke jo karbobala say chala ab
wohi qaafla shaam may aagaya
Haayay kis kis tarha say sataatay hain yay
Dekh raaho'n may kaantay bichaaatay hain yay
Garm paani chat'on say giraatay hain yay
Khoon abid ko meray (rulaatay hain yay) x2
Zeenat e murtaza a.s keh rahee'n hain khuda,
kon hain hum zara shaamyo;n ko bata
Qaid ho ke jo karbobala say chala ab wohi
qaafla shaam may aagaya
Jab hua shor logo sataao inhain
Baaghyon k hain bachai rulaao inhain
Gher lo aur nezay chubhaaoo inhain
In k waris nahee (hain bataoo inhain) x2
Koi patthar lyay koi lakri lyay maarnay aagya, haayay zain ul iba
Qaid ho ke jo karbobala say chala ab wohi qaafla shaam may aagaya