NAWHA LYRICS
Qayd ho ke part 2
jis jaga say bhi qaidi guzartay rhai
Un pay reh reh k patthar barastay rahai
Bachai girtay rhai aur martay rahai
Maayay roti rahee'n (shaami hanstay rahai) x2
Shaadyaanay bajatay rahai ashqyaa, maao'n ka hosla tu he janay khuda
Qaid ho ke jo karbobala say chala ab wohi qaafla shaam may aagaya
Ik jaga beech baazar esa hua
Sir pay abid a.s k jalta hua kch gira
Jis say maula a.s ka meray amama jala
Dekha zenab a.s nay (kesay wo manzar bhala) x2
Aag abid ke phir sir talak aagyee, haath thai jo bundhai wo hata na saka
Qaid ho ke jo karbobala say chala ab wohi qaafla shaam may aagaya
ik sahabi say sajjad a.s nay yay kaha
Jis jaga say bhi leykar gayay ashqyaa
Saamnay hee humaray sir'on ko rkha
Bibyaa'n cheekh uth'tee'n (jo parti nigaah) x2
Un siro'n ko gira kar uthaatay thai aur, kehtay jaatay thai do baaghy'n ko saza
Qaid ho ke jo karbobala say chala ab wohi qaafla shaam may aagaya
Dayr tak haayay baazar sajtay rahai
Qaidi baahir shehar k hee rokay gayay
Kab talak janay asif haram thai kharay
Hukm tha koi aaram (kar na sakay) x2
Phir manaadi hui saj gyee har gali, Ley k aajaaoo ab kunba e murtaza
Qaid ho ke jo karbobala say chala ab wohi qaafla shaam may aagaya