NAWHA LYRICS
Baqried se
(Baqried say ik din pehlay hee hayay koofay ke haakim nay muslim ko qatal karwaaya) x2
(Shabbar ke baad hay zaahra ka) x2 ik aur chiraagh bhujaaya hayay kesa zulm hay dhaaya
(Baqried say ik din pehlay hee hayay koofay ke haakim nay muslim ko qatal karwaaya) x2
(Ik bibi daaman phelaayay us mehal ke baahir bethi thi) x2
(Jis mehal ki chat say haakim nay) x2 meray muslim ko girwaaya
Haye kesa zulm hay dhaya, Baqried say ik din pehlay
hee hayay koofay ke haakim nay muslim ko qatal karwaaya
(Un logo nay sheh a.s k qaasid Ko bilkul tanhaa chor deea) x2
(Jin logo nay shabbir ko khud) x2 khat likh likh ke bulwaaya
Haye kesa zulm hay dhaya, Baqried say ik din pehlay
hee hayay koofay ke haakim nay muslim ko qatal karwaaya
(Muslim a.s ko shaheed kara k phir inaam aur rutbay ki khaatir) x2
(Sir kaat k shaam k haakim ko) x2 Us zaalim nay bhijwaaya hayay
Haye kesa zulm hay dhaya, Baqried say ik din pehlay
hee hayay koofay ke haakim nay muslim ko qatal karwaaya
(Rab jaanay us baqried k din Zaahra a.s k dil par kiaa guzri) x2
(Jab muslim a.s ka besir laasha) x2 Koofay may gaya latkaaya
Haye kesa zulm hay dhaya, Baqried say ik din pehlay
hee hayay koofay ke haakim nay muslim ko qatal karwaaya
(Shabbir a.s k qaasid ka laasha Rassi say bundhwa kar logo) x2
(Kis baydardi say koofay ki) x2 galy'on may gaya phirwaya hayay
Haye kesa zulm hay dhaya, Baqried say ik din pehlay hee
hayay koofay ke haakim nay muslim ko qatal karwaaya
(Baaghi qaasid ka laasha hay issay dekho aur phir eid karo) x2
(Asif koofay k haakim ne) x2 elaan e aam karaayaa hayay kesa