NAWHA LYRICS
Fizza bhi ghazi
Fizza bhi ghazi ki tarha farz e wafa nibha ke abbas ban gyee
Wafaayayn dono ki bemisal hayn
(Wo azmat e fatima jahaa'n ko) x2 bata bata k abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Wafa to ghazi k khoon may thi wafa hee saanson may bhi basi thi
Wafa ko ghazi a.s ki tarha fizza a.s mazhab bana k abbas a.s ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Shabbir ke sath jesay ghazi tha saayay ki tarha haq qadam par
Usi tarha fizza shaam Zainab ke saath ja ke abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Fizza rahee'n taazyaanay khaati..hatee'yn na Zainab ke saamnay say
Wafa k malka Haya ki malka ko you'n bacha k abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Wafaayay shabbir jesay ghazi ki zindagi ki ka tha aik maqsad
Wafaayay zenab a.s ko zindagi ka sabbab bana k, abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Ridaayay aal e nabi ki zaamin thee hastee'yay ghazi jis tarha say
Wo apni hasti ko bibiyo'on ki rida bana k abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Bani imamat ki ik mohaafiz akeli zenab hee baad e ghazi
Aur us mohaafiz ko aik fizza bacha bacha ke abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Quraan e ghayrat tha mera ghazi wo bees saal aayato'n may boli
Khuda k lehjay ko apna tarz e bayaa'n bana k abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Sikhaayyay adaab nokri ke jahaa'n ko ghazi nay jis tarha wo
Batool ke dar ke nokri ka sabaq parha ke abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Ghulam e aal e nabi hayn jitnay in hee ki sunnat pay chal rhay hayn
Jaha ko ghazi ki tarha fizza wafa sikha k abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2
Wafa ki mayraaj jesay ghazi Nay hay dikhaayee jahaa'n ko asif
Ussi tarha fizza intihaayay wafa dikha k abbas ban gyee
(wafayayn dono ki bey misal hayn) x2