NAWHA LYRICS
shabbir ki gardan
(Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)) x2
(Yay mei hee jaanti hoon kesay) x2 Menay dekha hay amma'n
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Jis bhai par say beto'n ke Mei sadqay utaara karti thi
Raato'n ko uth uth kar jis ko mei paani pilaaya karti thi
(Sehra mei usay pyaasa martay) x2 menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Jo paanch baras ka tha ammaa'n Jab aap gayee'n thee'n dunya say
Us waqt say khud ammaa'n jis ko maa bun k paala tha menay
(Usay tarap tarap k jaa'n detay) x2 menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Jis pusht pay subh say hee ammaa'n bhai nay laashay uthaayay thay
Jab qate e asar sajday may gaya To qaatil aa betha us pay
(Sattar qad'mo ki doori sey) x2 menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Bhai ko zibha karnay k lyay qaatil nay khanjer thaama to
Rukh kar k sooyay nehar menay hasrat say pukaara ghaazi a.s ko
(Ghazi a.s ko tarptay saahil pay) x2 menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Bhai ki gardan par ammaa'n jab qaatil nay khanjer phera
Kat'ti hayn ragayn dil ki meray mujh ko to yay mehsoos hua
(Quraan ko haath'on mei thaamay) x2 menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Qaatil to khanjer chalata raha Aur mei sktay may takti rahi
Sir par quraan uthaayay huayay Bhai ki zarbayn ginti rahi
(Kul tera dafa khanjer chaltay) x2 menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Kul tera baar chala kar wo Khanjer jab pusht say utra tha
Haayay ammaa'n us k haath'on may sir tha meray bhaai ka
Sir kaat k qaatil ko hanstay) x2 menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Us waqt namaaz tamaam hui jis waqt juda sir tan say hua
Phootay wo lahoo k fawwaray aur matti par khoo'n phel gaya
Baysir ko sajday say girtay menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
Nezay pay utha k sir khushyaa'n dushman ki fauj manaati thi
Karbala may qatl hussain a.s hua aawaaz yay ghayb say aati thi
Phir khoon ki baarish ko hotay menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)
"Asif" Jab laut k zenab a.s nay zaahra a.s ko haal sunaaya tha
Shabbir a.s ka khoon bhara kurta madar ki qabar pay daala tha
(Kehti thee'n apna ghar lut'tay) x2 menay dekha hay amma(n)
Shabbir ki gardan ko kat'tay menay dekha hay amma(n)